din bhar naukari ke baad itni himmat nahin bachti ki kuchh aur extra mehnat ki jaay. kisi din sochta hoon kuch notes likha jaaye, to ghar me bachchon ki padhai ke beech agar me baaja lekar kisi gaane ko kai-kai baar vahi line sunkar notes nikalne me jutTa hun to mahasangram tay hai. bachchon ki padhai ki chinta nahin hain ye baaja liye chaloo hain. atah mitron koi kaam aasaan na samjho har kaam mein mushkil hai dikkat hai. agar koi kuchh kaam kar pa raha hai to vah zaroor kadi mehnat aur tapasya ke baad kar pa raha hoga, koi bhi kaam ho sakta hai.
jo notes aapko uplabdh ho gaye hain unhein baar baar enjoy karein. mauka mila to kuchh aur notes banayeinge aur uplabdh karaayeinge. tab tak Jai Shree Krishna.
jo notes aapko uplabdh ho gaye hain unhein baar baar enjoy karein. mauka mila to kuchh aur notes banayeinge aur uplabdh karaayeinge. tab tak Jai Shree Krishna.
No comments:
Post a Comment
Pl. comment about this. यहाँ अपने विचार लिखें.